Monday 21 December 2015

Khuda Na Khasta Lyrics

Khuda Na Khasta Lyrics

Khuda Na Khasta Lyrics song by Arijit Singh (Additional Vocals & Sargam: Shankar Mahadevan)


Tukdon ki ye.. tasveer hai
Tukdon mein bhi lekin haseen tehreer hai
Kehno ko yun.. keh lijiye
Tevar bhari zewarnuma ye zanjeer hai

Ye zindagi juaa hai
Kisko yaqeen hua hai
Baaziyaan na-munasib kahin pad jaaye na
Ik tarfa safar ke
Lab pe yahi duaa hai
Kahin na-gawara modh koi mudh jaaye na

Khuda na khasta
Khuda na khasta
Khudaya khair kar
Khuda na khasta

Ik haath mein.. saugaat hai
Aur doosre mein ranjeeshein hain, jazbaat hai
Na jaane kyun.. iske liye
Kohraam mein kuch itminaan si baat hai

Ye zindagi dhuaan hai
Kisne isey chhuaa hai
Titliyon ki tarah shokh hai
Udd jaaye na...

Ik tarfa safar ke
Lab pe yehi dua hai
Kahin na-gawara modh koi mudh jaaye na

Khuda na khasta
Khuda na khasta
Khudaya khair kar
Khuda na khasta

O jeene ko jo aashiyana biyabaan hai
O palta usi aashiyaane mein toofan hai

Saaiyaan...
Saaiyaan...

Kitni silvatein maazi mein padin
Jeene ki wajah unse thi badi
O.. zaaya baat kyun shiqvon mein karein
Adhoori hasratein dar pe hain khadi

Ho.. Ye zindagi nasha hai
Takleef mein mazaa hai
Iski fitrat mein hi jung hai, chid jaaye naa
Ik tarfa safar ke
Lab pe yahi duaa hai
Kahin na-gawara modh koi mudh jaaye na

Khuda na khasta, Khuda na khasta
Khudaya khai kar, Khuda na khasta
Khuda na khasta, Khuda na khasta
Khudaya khai kar, Khuda na khasta
Share This

No comments:

Post a Comment

Designed By Blogger Templates